Saturday 24 November 2012

CORRUPTION IN EDUCATION

mera desh saaf dharm nirpeksh aur na jane kya kya,achchha lagta hai sun ne mein ki mere desh ki quality bahut hai,nam hai,sabse jyada engineer ,dr.,scientist nikalte hain yaha se.

sawal ye uthta hai ki kitne exam khud qualify karke nikalte hain,kitno par quota ka koi asar nahi padta hai,mein khud ek engineer hoon,govt.engineering college se passout,bahut khush hua tha jab dakhila hua college mein,ki state ke 7 govt.college mein se ek college mera bhi hai,
poori muskurahat 2 din mein he simat gayi,ek namcheen yuvak se meri mulakat ho gayi,kahata hai bhai teri marking kya thi pre test mein ,maine usko apni marking batai,maine poochha aapki kya marking thi,uski marking meri ek tihai thi,mein shant ho gaya ,uske shabd kuchh yun the mere liye,WAISE AGAR KABHI AINSA HUA KI EK DO PAPER BIGAD GAYE TO UNIVERSITY MEIN MERA JUGAD HAI.

mein bhi naya student tha college ka,maine socha ki hoga hoshiyar banda tabhi to itni badi jugad hai,iska pata bhi mujhebade jald lag gaya,ENGINEERING GRAPHICS ke paper mein ,
jab usne mujhse radus ka hindi meaning poochha,lekin ek bad khas thi uske marks mujhse jyada the,
aksar paper mein mujhse code poochha karta paper ka,Mechanicalki spelling paper se dekhkar likhta lekin marks  hamesha mere se jyada aate the uske.

aksar ainsa ho jata hai ki farzi admission karwane wale log hamein mil jate hain ,hum jante hue bhi kuchh khash nahi kar pate hain,system kharab hai ye kah kar palla jhhad lete hain,
lekin kuch had tak sahi bhi hai,hal hi mein meri mulakat ekainse hi farzi paper nikalwane bale se hui name lena uchit nahi samjhta ,uskojab maine daraya ki police wale kabhi na chhodenge tumko,uskajabab kuchh yun tha ,5 sal se is business mein jitna ek police wale ki sal bhar ki incomehoti hai utna unkoek sath diya jata hai,hai kisiki mazal ki apna muh khol de,
jabab kuchh is tarah bhi tha ,mere ladke kai bar pakde gaye aur kuchh ainse cases bhi bataye jinko news par dekha gaya,lekin woh bola kya hua 2 din news par chala fir news bale bhi bhool gaye aur police balon ko to hum bhula hi dete hain,
abhi hal hi mein RTO ke test mein jo bande pakde gaye kya hua unka?
har sal medical test mein hazaro munna bhai baithte  hain kya hota hai unka?
aur na jane kitne hi selection isi binah par hote hain ,
is system ko dekhkar ek hi story yad aati hai-

do student sage bhai hain jo ek hi class mein padh rahe hain,ek ka name ajay hai aur ek ka name vijay hai,ab ajay kafi hoshiyar aur mehnati hai isi ke viprit  vijay padhne mein kamjor aur udhmi ladka hai,class 10th mein vijay kisi karan vash anuttirna ho jata hai aur ajay achche anko ke sath uttirna ho jata hai,ab ajay kafi mehnat karke engineering ka exame pass karke engineer ban jata hai,wahi vijay ko uske pitaji pan ki dukan khulwa dete hain,vijay ki pahchan badhti jati hai aur sath hi gunda gardi bhi badhti jati hai,ek din vijay vidhayak ka chunao jeet jata hai,us kshetra ka vidhyak ban jata hai,aur ajay uske under mein kam karta hai,

JAI HO BHARAT KE EDUCATION SYSTEM KI

 

No comments:

Post a Comment